is ke hathon se jo KHushbu-e-hina aati hai
aisa lagta hai ki jannat se hawa aati hai
chumne dar ko kis dhaj se chala hai koi
aaj kis naz se maqtal mein qaza aati hai
na kabhi koi kare tujh se tere jaisa suluk
hath uThte hi yahi lab pe dua aati hai
tere gham ko ye barahna nahin rahne deti
meri aankhon pe jo ashkon ki rida aati hai
us ke chehre ki tamazat bhi hai shamil is mein
aaj tapti hui sawan ki ghaTa aati hai
ghumne jab bhi tere shahr mein jati hai wafa
bain karti hui wapas wo sada aati hai
hai wahi baat har ek lab pe bahut aam yahan
hum se jo kahte hue un ko haya aati hai

Ghazal
Is ke hathon se jo KHushbu-e-hina aati hai
Wasi Shah