is kaDi dhup mein saya kar ke
tu kahan hai mujhe tanha kar ke
main to arzan tha KHuda ki manind
kaun guzra mera sauda kar ke
tirgi TuT paDi hai mujh par
main pashiman hun ujala kar ke
le gaya chhin ke aankhen meri
mujh se kyun wada-e-farda kar ke
lau iradon ki baDha di shab ne
din gaya jab mujhe paspa kar ke
kash ye aaina-e-hijr-o-visal
TuT jae mujhe andha kar ke
har taraf sach ki duhai hai 'nasir'
sher likhte raho sachcha kar ke
Ghazal
Is kaDi dhup mein saya kar ke
Naseer Turabi