is kar-e-gah-e-rang mein hum tang nahin kya
jo sar pe laga hai abhi wo sang nahin kya
taswir ko taswir dikhai nahin jati
is aaina-KHane mein nazar dang nahin kya
hai halqa-e-jaan apni wafaon ka tasawwur
is dagh se aage koi farsang nahin kya
har baat pe hum dete hain ghairon ka hawala
apna koi aahang koi rang nahin kya
baKHshe hue ek ghunT pe hum jhum rahe hain
ab mang ke pina bhi koi nang nahin kya
zaKHm-e-dil-e-betab hai hathon mein niwala
is baat pe duniya se meri jang nahin kya
wo rang nahin shoala-e-ehsas mein 'baqi'
hum saz-e-tamanna se ham-ahang nahin kya
Ghazal
Is kar-e-gah-e-rang mein hum tang nahin kya
Baqi Siddiqui