is ka nahin hai gham koi, jaan se agar guzar gae
dukh ki andheri raat mein hum bhi charagh dhar gae
shan-o-shikoh kya hue, qaisar-o-jam kidhar gae
taKHt ulaT ulaT gae, taj bikhar bikhar gae
fikr-e-maash ne sabhi jazbon ko sard kar diya
saDkon pe din guzar gaya ho ke niDhaal ghar gae
lipTe rahe tamam raat phul ki pattiyon ke sath
dhup paDi jo phul par qatre farar kar gae
tundi-e-sail-e-waqt mein ye bhi hai koi zindagi
subh hui to ji uThe, raat hui to mar gae
gard-e-safar mein kho gae, aise hazaron rah-rau
rah mein jo Thahar gae, aandhiyon se jo Dar gae
phir bhi kisi rais ke dil ki tarah hai chashm tang
aap phire hain mulk mulk aap nagar nagar gae
khil ke rahenge dekhna chaar-su raushni ke phul
raat ke dasht ki taraf naqsh-gar-e-sahar gae
KHak mein teri mil gai 'faiz' ke jism ki ziya
ab to dayar-e-mahwashan qarz tamam utar gae
Ghazal
Is ka nahin hai gham koi, jaan se agar guzar gae
Hazin Ludhianvi