is ka nahin hai gham koi jaan se agar guzar gae
dikh ki andheri qabar par hum bhi charagh dhar gae
shan-o-shikoh kya hue qaisar-o-jam kidhar gae
taKHt ulaT ulaT gae taj bikhar bikhar gae
fikr-e-maash ne sabhi jazbon ko sard kar diya
saDkon pe din guzar gaya ho ke niDhaal ghar gae
tundi-e-sail-e-waqt mein ye bhi hai koi zindagi
subh hui to ji uThe raat hui to mar gae
gard-e-safar mein kho gae aise hazaron rah-rau
rah mein jo Thahar gae aandhiyon se jo Dar gae
aap ka to maqam tha dil ke buland taKHt par
aap ko aaj kya hua dil se mere utar gae
khil ke rahenge dekhna chaar su raushni ke phul
raat ke dasht ki taraf naqsh-gar-e-sahar gae
KHak mein teri mil gai 'faiz' ke jism ki ziya
ab to dayar-e-mahwashan! qarz tamam utar gae
Ghazal
Is ka nahin hai gham koi jaan se agar guzar gae
Hazin Ludhianvi