is jism ki hai panch anasir se banawaT
aql-o-dil-o-pindar ki sari hai bunawaT
hain hafiza idrak tamiz aur taKHayyul
afali-o-ilmi KHamasat us ki sajawaT
tamir jin ajza se hui KHana-e-tan ki
hai jaan se un sab ki numudar dikhawaT
aate hue is tan mein na jate hue tan se
hai jaan-e-makin ko na lagawaT na rukawaT
insaf ki mizan mein use tol to 'sahir'
sab sach hai nahin jhuT ki kuchh us mein milawaT

Ghazal
Is jism ki hai panch anasir se banawaT
Sahir dehlavi