is inkisar ka idrak tujh ko kam hoga
mere charagh ki lau mein bhi thoDa nam hoga
lapak paDunga main taswir se teri jaanib
ye teri samt mera aaKHiri qadam hoga
guzishta raat mujhe siDhiyon mein yaad aaya
teri thakan ka sabab bhi kisi ka gham hoga
main jaanta tha mujhe raushni wadiat hai
main jaanta tha mere hath mein qalam hoga
hamare sanehe tahdar kar diye gae hain
hamari tirgi ka aag se janam hoga
main KHushk jhil mein sahmi hui nami hun dost
mera machheron ke giton se KHauf kam hoga
safar mein us ko agar peD kam paDe 'arish'
to us ka rasta mere raste mein zam hoga

Ghazal
Is inkisar ka idrak tujhko kam hoga
Sarfraz Arish