is ibtida ki saliqe se intiha karte
wo ek bar mile the to phir mila karte
kiwaD garche muqaffal the us haweli ke
magar faqir guzarte rahe sada karte
hamein qarina-e-ranjish kahan mayassar hai
hum apne bas mein jo hote tera gila karte
teri jafa ka falak se na tazkira chheDa
hunar ki baat kisi kam-hunar se kya karte
tujhe nahin hai abhi fursat-e-karam na sahi
thake nahin hain mere hath bhi dua karte
unhen shikayat-e-be-rabti-e-suKHan thi magar
jhijak raha tha main izhaar-e-muddaa karte
chiqen giri thin darichon pe chaar su 'anwar'
nazar jhuka ke na chalte to aur kya karte

Ghazal
Is ibtida ki saliqe se intiha karte
Anwar Masood