اردو हिंदी
Is daur ne baKHshe hain duniya ko ajab tohfe | Shaahi Shayari
is daur ne baKHshe hain duniya ko ajab tohfe

Ghazal

Is daur ne baKHshe hain duniya ko ajab tohfe

Owais Ahmad Dauran

;

is daur ne baKHshe hain duniya ko ajab tohfe
ghabrae hue paikar uktae hue chehre

kuchh dard ke mare hain kuchh naz ke hain pale
kuchh log hain hum jaise kuchh log hain tum jaise

har ganw suhana ho har shahr chamak uTThe
dil ki ye tamanna hai puri ho magar kaise

biphri hui duniya ne patthar to bahut phenke
ye shish-mahal lekin ai dost kahan TuTe

yunhi to nahin bahti ye dhaar lahu jaisi
is bar fazaon se KHanjar hi bahut barse

kyun aag bhaDak uTThi shaer ke KHayalon ki
ye raaz ki baaten hain nadan tu kya jaane

sau bar suna hum ne sau bar hansi aai
wo kahte hain patthar ko hum mom bana denge

phir gosh-e-tasawwur mein abba ki sada aai
phir us ne dar-e-dil pe aawaz di chupke se

is KHak pe bikhra hai ek phul hamara bhi
jab baad-e-saba aae kuchh der yahan Thahre

afsana-numa koi rudad nahin meri
jhanka na kabhi main ne KHwabon ke dariche se

mushkil hai ye 'dauran' is bhiD ko samjhana
muD muD ke jo rahzan se manzil ka pata puchhe