is daur mein sab apna chalan bhul gae hain
had ye hai ki fankar bhi fan bhul gae hain
sayyaad sunaen tujhe kyunkar wahi naghme
hum lahja-e-arbab-e-chaman bhul gae hain
hai apni jagah aaj bhi har rasm-e-zamana
lekin hamin aain-e-watan bhul gae hain
manzil ke nishan mar ke bhi wo pa na sakenge
jo log rah-e-dar-o-rasan bhul gae hain
afsos mila hai unhen kab izn-e-rihai
jab ahl-e-qafas rah-e-chaman bhul gae hain
kis tarah shikayat karen be-tabi-e-dil ki
kya hum tere mathe ki shikan bhul gae hain
pursan nahin ghurbat mein mera koi bhi 'kashfi'
shayad mujhe yaran-e-watan bhul gae hain

Ghazal
Is daur mein sab apna chalan bhul gae hain
Kashfi Lucknavi