is dasht pe ehsan na kar ai abr-e-rawan aur
jab aag ho nam-KHurda to uThta hai dhuan aur
wo qahat-e-junun hai ki koi chaak gareban
aata hai nazar bhi to guzarta hai guman aur
ye sang-zani mere liye barish-e-gul hai
thak jao to kuchh sang ba-dast-e-digran aur
suraj ko ye gham hai ki samundar bhi hai payab
ya rab mere qulzum mein koi sail-e-rawan aur
'shair' ye zamin hazrat-e-ghaalib ki zamin hai
har sher talab karta hai KHun-e-rag-e-jaan aur
Ghazal
Is dasht pe ehsan na kar ai abr-e-rawan aur
Himayat Ali Shayar