اردو हिंदी
Is Dar se maine zulf ki uski na baat ki | Shaahi Shayari
is Dar se maine zulf ki uski na baat ki

Ghazal

Is Dar se maine zulf ki uski na baat ki

Meer Hasan

;

is Dar se main ne zulf ki us ki na baat ki
jati hai dur dur tak aawaz raat ki

dekha jab aankh khol ke misl-e-habab tab
malum kaenat hui kaenat ki

us bulbul-e-chaman ki hui aaqibat ba-KHair
sae mein jis ne aan ke gul ke wafat ki

main hun sifat hi ke tahayyur mein ham-nashin
kya baat mujh se puchhe hai tu us ki zat ki

dil apna us ko dijiye ya ji ko khoiye
is ke siwa tarah nahin koi najat ki

bola agar to qand-e-mukarrar hue wo lab
aur chup raha to ye bhi hai surat nabaat ki

waqif ho kyun na shola-e-atish se dil ke wo
rahti hai baghban ko KHabar phul pat ki

shah chaal ho raha hun sanam tere ishq mein
tu ne dikha ke ruKH meri bazi hi mat ki

zulf-e-araq-fishan teri jaan-baKHsh kyun na ho
tarkib us ne pai hai aab-e-hayat ki

us sar se ghair sar nahin waqif koi gharaz
lazzat bayan mein aati nahin teri lat ki

chun zindagi-o-marg hain aapas mein zid 'hasan'
chashm-o-lab us ki zid hai hayat o mamat ki