اردو हिंदी
Is be-KHudi mein ruKHsat KHuddari ho gai hai | Shaahi Shayari
is be-KHudi mein ruKHsat KHuddari ho gai hai

Ghazal

Is be-KHudi mein ruKHsat KHuddari ho gai hai

Mohammad Aazam

;

is be-KHudi mein ruKHsat KHuddari ho gai hai
mushkil hui jo aasan dushwari ho gai hai

ek dagh-e-dil pe bhi ab apna nahin tasarruf
ye sab zamin goya sarkari ho gai hai

is bojh ki na puchho gaThri hai dil ye jis ko
jitna kiya hai halka kuchh bhaari ho gai hai

shikwa nahin sitam ka par ab ye dekhta hun
tum ko sitamgari ki bimari ho gai hai

koi talab na hasrat kuchh shauq hai na aadat
ab teri yaad meri lachaari ho gai hai

lahje ki pairwi se tapta hai 'mir' koi
wo 'mir' KHatm jis par fankari ho gai hai