is bazm mein na hosh rahega zara mujhe
ai shauq-e-harza-taz kahan le chala mujhe
ye dard-e-dil hi zist ka bais hai chaara-gar
mar jaunga jo aai muafiq dawa mujhe
is zauq-e-ibtila ka maza us ke dam se hai
sab kuchh mila mila ho dil-e-mubtala mujhe
dair-o-haram ko dekh liya KHak bhi nahin
bas ai talash-e-yar na dar dar phira mujhe
ye dil se dur ho na dikhae KHuda wo din
zalim tera KHayal hai dil se siwa mujhe
ranj-o-malal o hasrat-o-arman-o-arzu
jaane se ek dil ke bahut kuchh mila mujhe
main jaanta hun aap hain mast apne haal mein
'beKHud' nahin hai aap se mutlaq gila mujhe
Ghazal
Is bazm mein na hosh rahega zara mujhe
Bekhud Badayuni