اردو हिंदी
Is bahr-e-be-sada mein kuchh aur niche jaen | Shaahi Shayari
is bahr-e-be-sada mein kuchh aur niche jaen

Ghazal

Is bahr-e-be-sada mein kuchh aur niche jaen

Bashir Saifi

;

is bahr-e-be-sada mein kuchh aur niche jaen
aawaz ka KHazina shayad tahon mein paen

galiyon mein saD rahi hain bite dinon ki lashen
kamre mein gunjti hain be-nam si sadaen

mazi ki ye imarat mehman hai koi dam ki
diwar-o-dar shikasta aur tez-tar hawaen

lete hi hath mein kyun aKHbar phaD Dala
kaisi KHabar chhapi thi hum kis ko kya bataen

shab ki siyah nadi se 'saifi' ubhar ke socho
suraj ki raushni mein sae kahan chhupaen