is baat ko waise to chhupaya na gaya hai
sab ko ye magar raaz bataya na gaya hai
parde ki kahani hai ye parde ki zabani
bas is liye parde ko uThaya na gaya hai
hain bhed kai ab bhi chhupe qaid rapaT mein
kuchh nam the shamil so dikhaya na gaya hai
ambar ki ye sazish hai ajab chand ke badle
duje kisi suraj ko ugaya na gaya hai
harfon ki zabani ho bayan kaise wo qissa
likkha na gaya hai jo sunaya na gaya hai
kuchh ahl-e-zaban aae to hain dene gawahi
aankhon se magar KHauf ka saya na gaya hai
ye raat hai naraaz jo dekha ki hawa se
do ek charaghon ko bujhaya na gaya hai
Ghazal
Is baat ko waise to chhupaya na gaya hai
Gautam Rajrishi