is baat ka malal nahin hai ki dil gaya
main us ko dekhta hun jo badle mein mil gaya
jo husn tu ne shakl ko baKHsha wo bol uTha
jo rang tu ne phul mein Dala wo khil gaya
nakaami-e-wafa ka namuna hai zindagi
kuche mein tere jo koi aaya KHajil gaya
qismat ke phoDne ko koi aur dar na tha
qasid makan-e-ghair ke kyun muttasil gaya
mujh ko miTa ke kaun sa arman tera miTa
mujh ko mila ke KHak mein kya KHak mil gaya
'muztar' main un ke ishq mein be-maut mar gaya
ab kya bataun jaan gai hai ki dil gaya
Ghazal
Is baat ka malal nahin hai ki dil gaya
Muztar Khairabadi