is ada se ishq ka aaghaz hona chahiye
soz bhi dil mein ba-qadr-e-saz hona chahiye
jab mohabbat ko sarapa raaz hona chahiye
kyun shikast-e-dil ki phir aawaz hona chahiye
aap khul jaega ye bab-e-qafas ai ham-nashin
dil mein paida jurat-e-parwaz hona chahiye
har nawa-e-arzu ko iztirab-e-shauq mein
dil ke har parde se ham-awaz hona chahiye
izn-e-jalwa mil chuka hai ab tujhe a chashm-e-shauq
kaamyab-e-jalwa-gah-e-naz hona chahiye
ishq se be-e'tinai par kabhi ifsha na ho
itna sanjida mera hamraaz hona chahiye
jo mere jazbaat ka izhaar tak hone na de
husn ko itna zamana-saz hona chahiye
har KHalish dil ki bina-e-kaif ka unwan ho
soz mein shamil nashat-e-saz hona chahiye
mere ilham-e-suKHan mein faiz hai simab ka
'zeb' bazm-e-sher mein mumtaz hona chahiye
Ghazal
Is ada se ishq ka aaghaz hona chahiye
Zeb Bareilwi