is aalam-e-viran mein kya anjuman-arai
do roz ki mahfil hai ek umr ki tanhai
phaili hain fazaon mein is tarah teri yaaden
jis samt nazar uTThi aawaz teri aai
ek naz bhare dil mein ye ishq ka hangama
ek gosha-e-KHalwat mein ye dasht ki pahnai
auron ki mohabbat ke dohrae hain afsane
baat apni mohabbat ki honTon pe nahin aai
afsun-e-tamanna se bedar hui aaKHir
kuchh husn mein be-tabi kuchh ishq mein zebai
wo mast nigahen hain ya wajd mein raqsan hai
tasnim ki lahron mein firdaus ki ranai
in madh-bhari aaankhon mein kya sehr 'tabassum' tha
nazron mein mohabbat ki duniya hi simaT aai
Ghazal
Is aalam-e-viran mein kya anjuman-arai
Sufi Tabassum