اردو हिंदी
Intizar tha hum ko KHushnuma bahaaron ka | Shaahi Shayari
intizar tha hum ko KHushnuma bahaaron ka

Ghazal

Intizar tha hum ko KHushnuma bahaaron ka

Shaad Aarfi

;

intizar tha hum ko KHushnuma bahaaron ka
ye qusur kya kam hai hum qusur-waron ka

aaftab chehra tha jin sharab-KHwaron ka
dagh dagh huliya hai un ka siyahkaron ka

sai-e-infiradi bhi naqsh chhoD jati hai
bujh gaya hai manzil tak naqsh rahguzaron ka

ek roz kho dega etimad-e-zati bhi
aasra taka jis ne dusre sahaaron ka

jis mein shahd-lab hoga kal baDa adab hoga
aaj na-munasib hai zikr mah-paron ka

rahnuma-e-rah-raw mein sham-e-bazm-e-ishrat ne
hasb-e-haal paya hai muddaa sitaron ka

aap hazrat-e-zahid us se kuchh nahin kahte
'shad' bhi to sathi hai hum gunahgaron ka