اردو हिंदी
Intizar ki had tak intizar karna tha | Shaahi Shayari
intizar ki had tak intizar karna tha

Ghazal

Intizar ki had tak intizar karna tha

Tameezuddin Tameez Dehlvi

;

intizar ki had tak intizar karna tha
eatibar ki had tak eatibar karna tha

haal-e-dil to kahna tha muKHtasar magar qasid
iKHtisar ki had tak iKHtisar karna tha

KHwab ho ki bedari-e-ah-o-nala-o-zari
iKHtiyar ki had tak iKHtiyar karna tha

us ne hasb-e-asaish ki adu ko fahmaish
KHaksar ki had tak KHaksar karna tha

nash bhi meri us ne qabr mein na rahne di
be-dayar ki had tak be-dayar karna tha

yas ho ki sarmasti chaak jama-e-hasti
tar tar ki had tak tar tar karna tha

ai 'tamiz' yaron par na-tawan sahaaron par
inhisar ki had tak inhisar karna tha