intiha tak baat le jata hun main
ab use aise hi samjhata hun main
kuchh hawa kuchh dil dhaDakne ki sada
shor mein kuchh sun nahin pata hun main
bin kahe aaunga jab bhi aaunga
muntazir aankhon se ghabraata hun main
yaad aati hai teri sanjidgi
aur phir hansta chala jata hun main
fasla rakh ke bhi kya hasil hua
aaj bhi us ka hi kahlata hun main
chhup raha hun aaine ki aankh se
thoDa thoDa roz dhundlata hun main
apni sari shan kho deta hai zaKHm
jab dawa karta nazar aata hun main
sach to ye hai mustarad kar ke use
ek tarah se KHud ko jhuTlata hun main
aaj us par bhi bhaTakna paD gaya
roz jis raste se ghar aata hun main
Ghazal
Intiha tak baat le jata hun main
Shariq Kaifi