insaniyat ke zoam ne barbaad kar diya
pinjre mein aa ke sher ko aazad kar diya
apne hi sune-pan ka mudawa na kar sake
kahne ko hum ne shahr ko aabaad kar diya
ji bhar ke qatl-e-am kiya pahle har taraf
phir us ne mamlikat ko KHuda-dad kar diya
dil se koi ilaqa na tha dur dur tak
tesha thama ke hath mein farhad kar diya
har muttaqi ko is se sabaq lena chahiye
jannat ki chah ne jise shaddad kar diya
hathon mein us ka hath liye sochte rahe
tha kaun jis ne ishq mein barbaad kar diya
Ghazal
Insaniyat ke zoam ne barbaad kar diya
Nomaan Shauque