insan ki haalat par ab waqt bhi hairan hai 
har shaKHs ke hathon mein apna hi gareban hai 
kichaD na uchhaalen hum kirdar pe auron ke 
hai chand barahna gar suraj bhi to uryan hai 
ab log sabaq hum se kyun kar nahin lete hain 
ab pas hamare to ibrat ka bhi saman hai 
tabdili-e-KHwahish par ye zehn bhi hairan hai 
ab dil ye mohabbat ke sae se gurezan hai 
har rose hi bahta hai ruKHsar pe raaton ki 
ye ashk falak ke jo chehre pe bhi larzan hai 
kyun us ko mohabbat ka ehsas nahin hota 
aankhon mein meri ab to har dard numayan hai 
duniya se to laDne ka aaega maza kitna 
pane ki tamanna mein miTne ka bhi imkan hai
        Ghazal
Insan ki haalat par ab waqt bhi hairan hai
Syed Sagheer Safi

