اردو हिंदी
Insan ke liye is duniya mein dushnam se bachna mushkil hai | Shaahi Shayari
insan ke liye is duniya mein dushnam se bachna mushkil hai

Ghazal

Insan ke liye is duniya mein dushnam se bachna mushkil hai

Anand Narayan Mulla

;

insan ke liye is duniya mein dushnam se bachna mushkil hai
taqsir se bachna mumkin hai ilzam se bachna mushkil hai

tair ke liye dushwar nahin sayyaad-o-qafas se dur rahe
lekin jo shakl-e-nasheman hai us dam se bachna mushkil hai

daman ko bacha bhi len shayad sahra ke nukile kanTon se
gulshan ke magar gul-ha-e-sharar-andam se bachna mushkil hai

is hadisa-gah-e-hasti mein Takraenge do dil kuchh bhi karo
pariyon ke liye wo lakh uDen gulfam se bachna mushkil hai

auham ki tariki to miTa sakte hain jala kar shama-e-KHirad
lekin KHud aql ke zaida auham se bachna mushkil hai

ai arz-e-sahar ke rah-rawo manzil pe pahunchne se pahle
har qafila jis ne luT liya us sham se bachna mushkil hai

kuchh qatra-e-mai upar upar phir dard hi dard andar andar
aaghaz-e-mohabbat KHub magar anjam se bachna mushkil hai

ek KHun aur gosht ke insan ka mabud teri jannat ki qasam
huron se churana aankh aasan asnam se bachna mushkil hai

insan ki hai aulad agar wo 'mulla' ho ya aur koi
hangam-e-jawani falsafa-e-'KHayam' se bachna mushkil hai