insan hun ghir gaya hun zamin ke KHudaon mein
ab bastiyan basaunga ja kar KHalaon mein
yaadon ke naqsh kanda hain namon ke rup mein
hum ne bhi din guzare daraKHton ki chhanw mein
dauDa ragon mein KHun ki tarah shor shahr ka
KHamoshiyon ne chhin liya chain ganw mein
yun to rawan hain mere taaqub mein manzilen
lekin main Thokaron ko lapeTe hun panw mein
wo aa ke chal diye hain KHayalon main gum raha
qadmon ki chap dab gai dil ki sadaon mein
sar rakh ke so gaya hun ghamon ki salib par
shayad ki KHwab le uDen hansti fazaon mein
ek ek kar ke log nikal aae dhup mein
jalne lage the jaise sabhi ghar ki chhanw mein
sahra ki pyas le ke chala jin ke sath sath
pani ki ek bund na thi un ghaTaon mein
jalte gulab mein na zara si bhi aanch thi
hum to jale hain hijr ki ThanDi KHizaon mein
Ghazal
Insan hun ghir gaya hun zamin ke KHudaon mein
Khatir Ghaznavi