inkar hi kar dijiye iqrar nahin to
uljhan hi mein mar jaega bimar nahin to
lagta hai ki pinjre mein hun duniya mein nahin hun
do roz se dekha koi aKHbar nahin to
duniya hamein nabud hi kar Dalegi ek din
hum honge agar ab bhi KHabar-dar nahin to
kuchh to rahe aslaf ki tahzib ki KHushbu
Topi hi laga lijiye dastar nahin to
hum barsar-e-paikar sitamgar se hamesha
rakhte hain qalam hath mein talwar nahin to
bhai ko hai bhai pe bharosa to bhala hai
aangan mein bhi uTh jaegi diwar nahin to
be-sud har ek qaul har ek sher hai 'raghib'
gar us ke muafiq tera kirdar nahin to
Ghazal
Inkar hi kar dijiye iqrar nahin to
Iftikhar Raghib