inhin mein jite inhin bastiyon mein mar rahte
ye chahte the magar kis ke nam par rahte
payambaron se zaminen wafa nahin kartin
hum aise kaun KHuda the ki apne ghar rahte
parinde jate na jate palaT ke ghar apne
par apne ham-shajaron se to ba-KHabar rahte
bas ek KHak ka ehsan hai ki KHair se hain
wagarna surat-e-KHashak dar-ba-dar rahte
mere karim jo teri raza magar is bar
baras guzar gae shaKHon ko be-samar rahte
Ghazal
Inhin mein jite inhin bastiyon mein mar rahte
Iftikhar Arif