in shoKH hasinon ki nirali hai ada bhi
but ho ke samajhte hain ki jaise hain KHuda bhi
ghabra ke uThi hai meri baalin se qaza bhi
jaan-baKHsh hai kitni tere daman ki hawa bhi
yun dekh rahe hain meri jaanib wo sar-e-bazm
jaise ki kisi baat pe KHush bhi hain KHafa bhi
mayus-e-mohabbat hai to kar aur mohabbat
kahte hain jise ishq maraz bhi hai dawa bhi
tujh par hi 'sahar' hai ki tu kis haal mein kaTe
jina to haqiqat mein saza bhi hai jaza bhi
Ghazal
In shoKH hasinon ki nirali hai ada bhi
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar