in ko KHala mein koi nazar aana chahiye
aankhon ko TuTe KHwab ka harjaana chahiye
wo kaam rah ke shahr mein karna paDa hamein
majnun ko jis ke waste virana chahiye
hai hijr to kabab na khane se kya husul
gar ishq hai to kya hamein mar jaana chahiye
is zaKHm-e-dil pe aaj bhi surKHi ko dekh kar
itra rahe hain hum hamein itrana chahiye
danaiyan bhi KHub hain lekin agar mile
dhoka hasin sa to use khana chahiye
tanhaiyon pe apni nazar kar zara kabhi
ai bewaquf dil tujhe ghabrana chahiye
is shairi mein kuchh nahin naqqad ke liye
dildar chahiye koi diwana chahiye

Ghazal
Inko KHala mein koi nazar aana chahiye
Ameer Imam