اردو हिंदी
In ghazalan-e-tarah-dar ko kaise chhoDun | Shaahi Shayari
in ghazalan-e-tarah-dar ko kaise chhoDun

Ghazal

In ghazalan-e-tarah-dar ko kaise chhoDun

Salam Machhli shahri

;

in ghazalan-e-tarah-dar ko kaise chhoDun
jalwa-e-wadi-e-tatar ko kaise chhoDun

dard-agin hi sahi barbat-e-pas-manzar-e-bazm
nashsha-e-ha-e-lab-o-ruKHsar ko kaise chhoDun

ai taqaza-e-gham-e-dahr main kaise aaun
lazzat-e-dard gham-e-yar ko kaise chhoDun

main KHizan mein bhi parastar raha hun us ka
mausam-e-gul mein chaman-zar ko kaise chhoDun

ai mere ghar ki fazaon se gurezan mahtab
apne ghar ke dar-o-diwar ko kaise chhoDun

hae dard-e-dil-e-bezar ki hangam-e-KHumar
dost kahte hain ki mai-KHwar ko kaise chhoDun

aaj to shama hawaon se ye kahti hai 'salam'
raat bhaari hai main bimar ko kaise chhoDun