in aql ke bandon mein aashufta-sari kyun hai
ye tang-dili kyun hai ye kam-nazari kyun hai
asrar agar samjhe duniya ki har ek shai ke
KHud apni haqiqat se ye be-KHabari kyun hai
sau jalwe hain nazron se manind-e-nazar pinhan
dawa-e-jahan-bini ai dida-wari kyun hai
hal jin ka amal se hai paikar-o-jadal se hai
in zinda masail par bahs-e-nazari kyun hai
to dekh tere dil mein hai soz-e-talab kitna
mat puchh duaon mein ye be-asari kyun hai
ai gul jo bahaar aai hai waqt-e-KHud-arai
ye rang-e-junun kaisa ye jama-dari kyun hai
waiz ko jo aadat hai pechida-bayani ki
hairan hai ki rindon ki har baat khari kyun hai
milta hai use pani ashkon ki rawani hai
malum hua kheti zaKHmon ki hari kyun hai
ulfat ko 'asad' kitna aasan samajhta tha
ab nala-e-shab kyun hai aah-e-sahari kyun hai
Ghazal
In aql ke bandon mein aashufta-sari kyun hai
Asad Multani