in aankhon se aab kuchh na nikla
ghair-az KHun-nab kuchh na nikla
bose ka kya sawal lekin
us munh se jawab kuchh na nikla
baham hui yun to did-wa-did
par dil ka hijab kuchh na nikla
juz teri hawa ke apne sar mein
manind-e-habab kuchh na nikla
karta tha bahut sa mujh pe dawa
par waqt-e-hisab kuchh na nikla
sine mein jo dil ki ki tafahhus
juz dud-e-kabab kuchh na nikla
hum samajhte the jis ko 'mushafi' yar
wo KHana-KHarab kuchh na nikla
Ghazal
In aankhon se aab kuchh na nikla
Mushafi Ghulam Hamdani

