in aankhon ne kya kya tamasha na dekha
haqiqat mein jo dekhna tha na dekha
tujhe dekh kar wo dui uTh gai hai
ki apna bhi sani na dekha na dekha
un aankhon ke qurban jaun jinhon ne
hazaron hijabon mein parwana dekha
na himmat na qismat na dil hai na aankhen
na DhunDa na paya na samjha na dekha
marizan-e-ulfat ki kya be-kasi hai
masiha ko bhi chaara-farma na dekha
bahut dard-mandon ko dekha hai tu ne
ye sina ye dil ye kaleja na dekha
wo kab dekh sakta hai us ki tajalli
jis insan ne apna jalwa na dekha
bahut shor sunte the is anjuman ka
yahan aa ke jo kuchh suna tha na dekha
safai hai bagh-e-mohabbat mein aisi
ki baad-e-saba ne bhi tinka na dekha
use dekh kar aur ko phir jo dekhe
koi dekhne wala aisa na dekha
wo tha jalwa-ara magar tu ne musa
na dekha na dekha na dekha na dekha
gaya karwan chhoD kar mujh ko tanha
zara mere aane ka rasta na dekha
kahan naqsh-e-awwal kahan naqsh-e-sani
KHuda ki KHudai mein tujh sa na dekha
teri yaad hai ya hai tera tasawwur
kabhi 'dagh' ko hum ne tanha na dekha
Ghazal
In aankhon ne kya kya tamasha na dekha
Dagh Dehlvi