imtihan ke liye jafa kab tak
iltifat-e-sitam-numa kab tak
ghair hai bewafa pa tum to kaho
hai irada nibah ka kab tak
jurm malum hai zuleKHa ka
tana-e-dast-e-narasa kab tak
mujh pe aashiq nahin hai kuchh zalim
sabr aaKHir kare wafa kab tak
dekhiye KHak mein milati hai
nigah-e-chashm-e-surma-sa kab tak
kahin aankhen dikha chuko mujh ko
jaanib-e-ghair dekhna kab tak
na milaenge wo na aaenge
josh-e-labbaik-o-marhaba kab tak
hosh mein aa tu mujh mein jaan nahin
ghaflat-e-jurat-azma kab tak
le shab-e-wasl-e-ghair bhi kaTi
tu mujhe aazmaega kab tak
tum ko KHu ho gai burai ki
darguzar kijiye bhala kab tak
mar chale ab to us sanam se milen
'momin' andesha-e-KHuda kab tak
Ghazal
Imtihan ke liye jafa kab tak
Momin Khan Momin