ilzam tha diye pe na taqsir raat ki
hum ne to bas hawa ke talluq se baat ki
har subh jab ki subh-e-qayamat ki tarah aae
aise mein kaun hoga jo soche sabaat ki
taklif to hui magar ai naKHun-e-malal
khulne lagi girah bhi koi apni zat ki
zanjir hai jazira hai ya shaKH-e-be-samar
ab kaun si lakir salamat hai hat ki
marne agar na pai to zinda bhi kab rahi
tanha kaTi wo umr jo thi tere sath ki
phir bhi na mera qafila luTne se bach saka
main ne KHabar to rakkhi thi ek ek ghat ki
Ghazal
Ilzam tha diye pe na taqsir raat ki
Parveen Shakir