اردو हिंदी
Iltifat-e-am hai wajh-e-pareshani mujhe | Shaahi Shayari
iltifat-e-am hai wajh-e-pareshani mujhe

Ghazal

Iltifat-e-am hai wajh-e-pareshani mujhe

Mela Ram Wafa

;

iltifat-e-am hai wajh-e-pareshani mujhe
kis qadar mahngi paDi hai un ki arzani mujhe

bahr-e-hasti hai meri nazron mein ek dasht-e-sarab
ret ka hota hai dhoka dekh kar pani mujhe

tere jalwon ka to har ek zarra hai aaina-dar
mane-e-nazzara hai KHud meri hairani mujhe

sai-e-be-hasil thi dil ki koshish-e-iKHfa-e-raaz
kar gai ruswa nigahon ki pareshani mujhe

ya adu-e-bul-hawas ki naz-bardari karo
ya bana lo taKHta-e-mashq-e-sitam-rani mujhe

khul nahin sakti faqat ek aap ke dil ki girah
warna kya kya gutthiyan aati hain suljhani mujhe

kis qadar na-paid hain ahl-e-kamal ab ai 'wafa'
koi apna bhi nazar aata nahin sani mujhe