اردو हिंदी
Ilm o fan ke raaz-e-sar-basta ko wa karta hua | Shaahi Shayari
ilm o fan ke raaz-e-sar-basta ko wa karta hua

Ghazal

Ilm o fan ke raaz-e-sar-basta ko wa karta hua

Umair Manzar

;

ilm o fan ke raaz-e-sar-basta ko wa karta hua
wo mujhe jab bhi mila hai tarjuma karta hua

sirf ehsas-e-nadamt ke siwa kuchh bhi nahin
aur aisa bhi magar wo bar-ha karta hua

jaane kin hairaniyon mein hai ki ek muddat se wo
aaina-dar-aina-dar-aina karta hua

kya qayamat-KHez hai us ka sukut-e-naz bhi
ek aalam ko magar wo lab-kusha karta hua

aagahi aaseb ki manind raqsan har taraf
main ki har dam-e-shunidan ko sada karta hua

ek meri jaan ko andeshe sau sau tarah ke
ek wo apne liye sab kuchh rawa karta hua

haal kya puchho ho 'manzar' ka wo dekho us taraf
sari duniya se alag apni sana karta hua