ilm kis ko tha ki tarsil-e-hawa ruk jaegi
agle mausam tak meri nashw-o-numa ruk jaegi
ho chukega dafatan zauq-e-samaat muKHtalif
aate aate mere honTon tak sada ruk jaegi
tu hi kyun nadim hai itni mere ghar ki aabru
kis ke sar par aisi aandhi mein rida ruk jaegi
ab tamasha dekhne walon mein ham-saya bhi hai
TuTti chhat mere chillane se kya ruk jaegi
karwan ko gher hi lega sukut-e-regzar
gunjne se qabl hi bang-e-dara ruk jaegi
kal na hoga koi is basti mein mera muntazir
kal mere talwon hi mein aawaz-e-pa ruk jaegi
kya tahaffuz de sakegi mujh ko waz-e-ehtiyat
kya dariche mund lene se bala ruk jaegi
Ghazal
Ilm kis ko tha ki tarsil-e-hawa ruk jaegi
Nashtar Khaanqahi