ek tu hi nahin nasiya-farsa mere aage
har shaKHs hai mahrum-e-tamanna mere aage
ai zist tujhe yaad hain andaz-e-junun-KHez
jab zarra-e-sahra bhi tha sahra mere aage
wo daur ki dariya bhi tha ek qatra-e-be-ab
ab qatra-e-be-ab hai dariya mere aage
ai dawar-e-mahshar wo ghaDi yaad hai tujh ko
jab laya gaya mera sarapa mere aage
rota hai mera jazba-e-dil dekh ke majnun
be-parda chali aati hai laila mere aage
likkha hai tera nam samundar pe hawa ne
ai dost na kar us ka yun charcha mere aage
yusuf to hai kanan mein paband-e-salasil
shishe mein utarti hai zuleKHa mere aage
ai aah agar chhoD dun main zabt ka daman
uDne lage KHak-e-ruKH-e-sahra mere aage
bulbul ka lahu kucha-e-qatil mein baha yun
jaise ho koi mauja-e-dariya mere aage
afsos hua band sanam-KHana-e-azar
naseh na suna aa ke ye muzhda mere aage
wo fitna-e-mahshar hai magar mohr-ba-lab hai
jaise ho koi mom ki guDiya mere aage
zahid ke liye khol de maiKHane ka dar aaj
bismil sa taDapta hai ye pyasa mere aage
tasir na hoti jo meri chashm-e-fusun mein
shishe sa na saqi kabhi girta mere aage
KHush-baKHt tha wo daur 'muzaffar' ki chaman mein
TuTa na kabhi shaKH se ghuncha mere aage

Ghazal
Ek tu hi nahin nasiya-farsa mere aage
Muzaffar Ahmad Muzaffar