اردو हिंदी
Ek turfa tamasha sar-e-bazar banega | Shaahi Shayari
ek turfa tamasha sar-e-bazar banega

Ghazal

Ek turfa tamasha sar-e-bazar banega

Ali Muthar Ashar

;

ek turfa tamasha sar-e-bazar banega
jo shaKHs bhi aaina-e-kirdar banega

ye baat bhi tai ho gai dahshat-zadagan mein
jo sang-ba-dast aaega sardar banega

rangon se na rakhiye kisi surat ki tawaqqo
wo KHun ka qatra hai jo shahkar banega

main us ke panapne ki dua mang raha hun
bachche ke ye tewar hain ki fankar banega

phir laKHt-e-jigar koela le aaya kahin se
ab dekhiye kya kya sar-e-diwar banega

yaksui se jab us ki taraf dekhoge 'ashar'
kuchh der mein mahtab ruKH-e-yar banega