ek to KHud apni ghamgini
us par un ki nukta-chini
apni shirini bhi talKHi
un ki talKHi bhi shirini
khul jaega ye bhi ek din
kis ne kis ki rahat chhini
kafi hai kya ye kah dena
sab haalat ki hai sangini
kar nahin sakti hum ko qail
sirf ibarat ki rangini
hai ye wafa wo jurm-e-mohabbat
hai jis ke padash yaqini
kya malum kisi ki mushkil
KHuddari hai ya KHud-bini
aap ki ra-e-ali kya hai
din hai behtar ya be-dini
kya kahna us hosh-o-KHirad ka
sujhti hai jis ki shauqini
apne daman ko bhi dekhen
ho manzur jinhen gul-chini
achchhe achchhon ko ai hairat
le Dubi hai be-aini
Ghazal
Ek to KHud apni ghamgini
Hairat shimlavii