ek talatum sa hai har samt tamannaon ka
dil pe hota hai guman shahr hai dariyaon ka
tu bhi ek bar meri ruh ke aaine mein
jhank kar dekh taqaddus hai kalisaon ka
han magar qatl-gah-e-shauq mein kuchh aur bhi the
hath kyun mujh pe uTha mere masihaon ka
ab ke ghanghor ghaTa khul ke jo barse bhi to kya
dhup ne rang hi kajla diya sahraon ka
ab sar-e-dasht-e-KHud-arai khaDa hun tanha
main ki dulha tha kabhi anjuman-araon ka
'mohsin'-ehsan ki is sada-dili ke sadqe
dhup mein DhunDhta phirta hai maza chhanw ka
Ghazal
Ek talatum sa hai har samt tamannaon ka
Mohsin Ehsan