ek tajassus dil mein hai ye kya hua kaise hua
jo kabhi apna na tha wo ghair ka kaise hua
main ki jis ki main ne to dekha na tha socha na tha
sochta hun wo sanam mera KHuda kaise hua
hai guman diwar-e-zindan ka fasil-e-shahr par
wo jo ek shola tha har dil mein fana kaise hua
rang-e-KHun roz-e-azal se hai nishan-e-inqilab
zist ka unwan magar rang-e-hina kaise hua
ghaznawi to but-shikan Thahra magar 'KHatir' ye kya
tere maslak mein use sajda rawa kaise hua
Ghazal
Ek tajassus dil mein hai ye kya hua kaise hua
Khatir Ghaznavi