ek shor sameTo jiwan bhar aur chup dariya mein utar jao
duniya ne tum ko tanha kiya tum is ko tanha kar jao
is hijr o visal ke bich kahin ek lamhe ko ji chahta hai
bas abr-o-hawa ke sath phiro aur jism o jaan se guzar jao
tum reza reza ho kar bhi jo KHud ko sameTe phirte ho
so ab ke hawa pazhmurda hai is bar zara sa bikhar jao
jangal ka ghanera andhiyara ab aan basa hai shahron mein
in shahron ko yunhi rahna hai ab zinda raho ya mar jao
ek tarik hawa ka jhonka ruk ke ye mujh se kahta hai
ye raushan galiyan jhuTi hain tum 'sabir' apne ghar jao

Ghazal
Ek shor sameTo jiwan bhar aur chup dariya mein utar jao
Sabir Waseem