اردو हिंदी
Ek rabt tha ba-rang-e-digar bhi nahin raha | Shaahi Shayari
ek rabt tha ba-rang-e-digar bhi nahin raha

Ghazal

Ek rabt tha ba-rang-e-digar bhi nahin raha

Mohammad Khalid

;

ek rabt tha ba-rang-e-digar bhi nahin raha
diwar kya giri koi dar bhi nahin raha

ab tak hai tu bhi aur teri haibat bhi be-misal
dil wo nahin hai dil mein wo Dar bhi nahin raha

kya ho agar labon pe abhi tak hai koi pyas
sahra mein jab sarab-e-nazar bhi nahin raha

us zaiqe se apni shanasai kya hui
go shaKH wo nahin wo samar bhi nahin raha

ab tak koi qayam ki saat nazar na aai
darpesh agarche koi safar bhi nahin raha

chhuTe hain aaise bar-e-safar se tamam log
jaise kisi ke dosh pe sar bhi nahin raha

mar se gae hain sang-e-malamat ke walwale
sar mein junun-e-arz-e-hunar bhi nahin raha