ek raaz-e-dilruba ko bayan hona hai abhi
harf-o-sada ko shoala-ba-jaan hona hai abhi
jagi hai dil mein shahd-e-shahadat ki aarzu
rah-e-wafa ka sang-e-nishan hona hai abhi
roka hua hai tum ne hawaon ko kis liye
is rakh mein sharar ka guman hona hai abhi
sansen shabon ki jaan ki tanaben ukhaD gain
agle safar pe hum ko rawan hona hai abhi
mahsur hai wo kibr-o-ana ke hisar mein
us se taaruf apna kahan hona hai abhi
tabir ki talash mein phirte hain KHwab KHwab
chashm-e-jahan pe aks-fashan hona hai abhi

Ghazal
Ek raaz-e-dilruba ko bayan hona hai abhi
Sattar Syed