اردو हिंदी
Ek raat main so nahin saka tha | Shaahi Shayari
ek raat main so nahin saka tha

Ghazal

Ek raat main so nahin saka tha

Ahmad Ata

;

ek raat main so nahin saka tha
aur KHwab bhi dekhna paDa tha

dil itna kyun dhaDak raha hai
main kis ki nazar mein aa gaya tha

jaisa bhi ghalat sahi main hun, hun
jaisa bhi ghalat sahi main tha, tha

kamre mein aag lag gai thi
dil jab kisi dhyan mein laga tha

waisa hi KHarab shaKHs hun main
jaisa koi chhoD kar gaya tha

dil ki masnad pe baiTh kar ishq
mujh aise ko sanwarta tha