ek parinda abhi uDan mein hai
tir har shaKHs ki kaman mein hai
jis ko dekho wahi hai chup chup sa
jaise har shaKHs imtihan mein hai
kho chuke hum yaqin jaisi shai
tu abhi tak kisi guman mein hai
zindagi sang-dil sahi lekin
aaina bhi isi chaTan mein hai
sar-bulandi nasib ho kaise
sar-nigun hai ki saeban mein hai
KHauf hi KHauf jagte sote
koi aaseb is makan mein hai
aasra dil ko ek umid ka hai
ye hawa kab se baadban mein hai
KHud ko paya na umr bhar hum ne
kaun hai jo hamare dhyan mein hai
Ghazal
Ek parinda abhi uDan mein hai
Ameer Qazalbash