ek parda-nashin ki aarzu hai
dar-parda kahin ki aarzu hai
hai bhi to unhin ka dil ko arman
hai bhi to unhin ki aarzu hai
hota nahin han se qaul pura
ab mujh ko nahin ki aarzu hai
kho aae hain ku-e-yar mein dil
is par bhi wahin ki aarzu hai
iman ka ab KHuda nigahban
ek dushman-e-din ki aarzu hai
nikle bhi to teri justuju mein
ye jaan-e-hazin ki aarzu hai
andhera macha hua hai dil mein
kis mah-jabin ki aarzu hai
kyun hashr ka qaul kar rahe ho
'muztar' ko yahin ki aarzu hai
Ghazal
Ek parda-nashin ki aarzu hai
Muztar Khairabadi